Home
About Us
Submit sms
Contact Us
 
Islamic sms

Funny sms

Poetry sms
Naughty sms
Flirt sms
Quote sms
Love sms
Urdu and Hindi sms
Punjabi sms
Kiss sms
Anniversary sms
Birthday sms
Mothers Day sms
Good Morning Sms
Good Night sms
Getwell Soon sms
Eid Mubarak sms
Friendship sms
Missing You sms
Santabanta sms
Sardar sms
New Year sms
Christmas sms
Diwali sms
Independence day

Meri duaa hai ke khush rahoo tum
Miley na koi ghum jahan bhi raho tum...
Samundar ke terha dil hai gheera tumhara...
Khushyoun say bhara rahey daman tumhara..
Tum joo kahooo woh har khwaish puri ho tumhari
Khuda say bhi bus yahi duaa hai humari....
Toofa kia doon tumhey duaaoon ke siwa
Ke Khuda humeshah rahey razi tum say sada .
Samundar ke terha dil hai gheera tera
Khushyoun say bhara rehey daman tera!

Aa apni zindagi ki har sham teray naam kar doun
Teri hi ankhon ka jam teray naam kar doun
Main doob jaoun teri in jheel is gehri ankhon mein
Phir apni barbadi ka ilzam teray naam kar doun
Mein apni Rouh ko teray Wajood mai bhar doun
Phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun
TU mujhay mohabbat ka aghaz day sanam
Mein apnay pyaar ka anjam tere naam kar doun
Mohabbaton key qaseeday likhoun teri sana mein
Hazaron pyaar Kay paighaam tere naam kar doun
Hou jis ka zikar mohabbat ki har kahani mein
Eik aisa pyaar ka paigham tere naam kar doun
Waise akele hi aaye hain aur akele hi jana hai
Kaisa bhi ho bandhan ek din to toot jana hai
Koi kitna bhi rahe pass ya kitna bhi rahe door
Sukh dukh ka jalwa apne hi mann ka afasana hai!
Agar bhoole se bhi kabhi hamari yaad aati ho
Aur tan badan mein ek siharan si daur jati ho
Mere yaar mere dil ke malik, pass chale aana
Agar sooni sooni raten tumhe bahut satati ho!
Tum nahi aaoge phir bhi rahta hai intzaar
Kabhi kabhi baith jati hoon kar ke shringaar
Tumhara bhi khana laga deti hoon aksar mez per
Aur darwaze per daur kar jati hoon baar baar!
Zindgi choti hai magar itni choti bhi nahi
Aankhen sookh gayi hai aur ab roti bhi nahi
Zara zara si baton pe agar hum na jhagarte
To shayed yeh zindgi tumse juda hoti bhi nahi!
Beete din ab wapas to nahi aa sakte
Kho diya hai jo use to nahi pa sakte
Dhool si hi rah gayi hai baki hawa mein
Kash tumhe zindgi me phir se bhoola sakte!
Tumhe hamari yaad kabhi to aati hogi
Dil ki dhadkan bhi shayed bhar jati hogi
Kitna chaha tha humne ke saath saath rahe
Yeh soch kar tumhari bhi aankh bhar aati hogi
pyar karna hy to Allah sy karo,
ye mati k khilonay wafa nhi karty
Hume Hansne - Hasane ki aadat hai,
Nazron se Nazar Milane ki aadat hai,
Par hamari to nazar unse hai ja mili,
Jinhe nazar Jhukake Sharmane ki Aadat hai...
Na khuda dil banata,na kisi se pyar hota
Na kisi ki yaad aati,na kisi ka intzaar hota
Dil diya hai,use samhaal kar rakhna
Sheese se bana hai patthar se door rakhna!
Aankho main aansoo ki tarha
Phoolon main khusboo ki tarha
Aap mere dil main base ho
Dil main dhadkan ki tarha
Aaj tak hum chahte rahe hain aapko
Ye baat bhi to bata te rahe hain aapko
Ab aap hi na samj paae to kya karen
Hum to haal-ye-dil sunate rahe hain aapko!
Kamal ho tum,na gulaab ho tum
Meri aankho ke khowaab ho tum
Haanth utha kar rub se jo sawal kiya tha
Un sawalon ka jawab ho tum!
Tu phool hai gulaab ka
Main asiq tere sabaab ka
Teri tasveer mere dil main hai
Kya fayda tere nakaab ka!
Woh aaye maiyat par meri,
karne mohabbat ka izahar,
mere bejaan jism ne kaha,
mat ro, aaj bhi main tujhe karta hoon pyar!
Tere pyaar mein mere sanam,
hum khud se mulaquat kar bhete
Chalte chalte bas yunhi achanak,
hum zindagi se mulaquat kar bhete!
Mat karo in hasino se pyar, ye mitti mein mila deti hain,
Ye itni bedard hoti hain ke bina kafan ke jala deti
Khuda hum ko tum-se, juda na karey
Dua yey karo yey, "Khuda na karey".....
Humain aisey dil ki, zaroorat nahin
Terey waastey jo, dua na karey.....
Nahin, mera dilbar, to aisa nahin
Jo wada karey aur, wafa na karey.....
Yehi, yaar sachhayi ki pehchaan hai
Sahey zakham leykeen, gila na karey.....
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
Us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka,
Zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
Ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka,
Jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
Aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka,
Kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
Jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka,
Bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
Hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka,
Woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
Chehre ka rang us se chupaya na jaa saka,
Tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka!
na jagao mugh ko dostoo es alaam e madhoshi sey
mugh sey uth ker us ki yaad k waar sahy nae jaaty
Yehi wada lia tha,na hamaisha khush hee rehna hai
To dekho,dekh lo aa ker!
Meri aankho ko dekho tum yeh kitni shokh lagtee hain
Mere honto ko dekho tum hamaisha muskuratay hain
Dosti ki misaal kya doon,
Misaal lijiye aankhon aur palkon ke rishtey ki....
Agar palak kuchh der na jhapke to aankhen ro deti hai,
Agar aankhon ko dard ho
Toh palken bhi tadap uthti hai
ye bariss ki booinde phir se vo waqt layin hain,
jab uski dosti ki yadain dohraye jaati hain,
kurbaan ho gaya vo insaaniyat dosti aur raah per,
uski yaad main aaj phir se aankhain bhar aye hain
Aankh milatay der lagta hai"
"Ishq kahin na ho jaey"
"Kab se sambhala dil ko main ne"
"Dil yeh kahin na kho jaey"
"Ishq buri hai cheez main ne mana"
"Per nahi manay yeh dil deewana"
"Chot milay chahat main main ne jana"
"Hai barra mushkil dil ko samjhana"
"Piyar main na doori na sahi jaey"
"Be qarari reh reh ke terrpaey"
"Yeh piyar kahan kab hota hai"
"Jab hona ho tab hota hai"
"Yeh koi na janey
teri har ada mohabbat ce lagti hai,aik pal ki judai mudat ce lagti hai,pehley nahi tha socha ab sochtay hain
zindagi ke har lamhey mein teri zarorat ce lagti hai
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 22 23 24 25
 26 27 28 29 30 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48 49 50
51 52 53 54 55 56 57 58 59 60 61 62 63 64 65 66 67 68 69 70 71 72 73 74 75
76 77 78 79 80 81 82 83 84 85 86 87 88 89 90 91 92 93 94 95 96 97 98 99 100
101 102 103 104 105 106 107 108 109 110 111 112 113 114 115 116 117